Kabir Chaura ko yadi kavita maana jaaye, toh ye har aam aur khaas aadmi se sambandhit unn vishyon par gudgudaati hai, jinse unka vaasta padhta ho. Mehengai, Ashiksha, Beemari, Bekaari, Macchar, Malaria aadi samasyaen ho ya netaon ki kartoot ho ya raajneetik utha-patak aur swaarth, inn sab par saral bhaasha mein chuteela vyangya kabir chaura ki khaasiyat hai. Kabir Chaura na keval pathak ka manoranjan karta hai, apitu vyawastha ki unn sacchayion ko bhi nanga karta hai, jinke aadhar par loktantra ke lok yaani aam aadmi ko bharmaya jaata hai, usse sunhere sapne dikh kar apne aandolano mein shaamil hone ke liye garmaaya jaata hai aur baad mein usse hi galat saabit kar sharmaaya bhi jaata hai.