Mahapandit Chanakya ek rachnatmak vicharak the. Veh sarvshreshth arthshastri ke saath-saath mahaan raajneetigya evam katuneetigya the. Veh samraajya vinaashak bhi the tatha samrajya nirmaata bhi the. Unki 3 anupam kritiyan - chanakya neeti, chanakya sutra tatha kautilya arthashastra hain. iss pustak mein inn teeno ki vistrit vyakhya lekhak dwara prastut ki gayi hai. yeh pustak chintak, lekhak, prabandhak, sevak, shasak, prashasak, raajneetigya se lekar samaanya jan sab hi ke liye laabhdaayi tatha upyukt hai.