September ank ke cover par hain abhinetri Kangana Ranaut aur unki bahan Rangoli Chandel. Ye bahne apne rishte ki kahani bayan kar rahi hain, bata rahi hain ki kaise unhono zindagi ki chunautiyon ka samna kiya. Femina Hindi ke is Kahani visheshank me aapko milengi varsh 2015-16 ki Hindi ki sarvshreshtha kitaben, jinhe 15 laogon ke panel ne, 17 prakashkon ke dwara bheji gayi 100 kitabon ke beech se chuna hai. Is ank me aapko kul 10 kahaniya padhne milengi-7 yuva lekhikaon ki laghu kathayen aur hindi ki 3 pratishthit lekhikaon Anju Dua Jaimini, Manisha Kulshreshtha aur Dr Sharad Singh ki pahali kahani. In naamcheen lekhikaon ne apni pahli kahani ke aakaar lene ki kahani bhi aapke liye sajha ki hai. Yadi aap Hindi ko pasand karti hain to Hindi me naye prayog ki dastak, padhna na bhoolen. Ye aapko batayega ki Hindi ki kitabon ki duniya me kaun se sakaratmak badlaav aa rahe hain...
femina Hindi